Thursday, July 17, 2008

Guru Purnima Prayers

Ye Garv Bhara, Mastak Mera
Prabhu Charan Dhool Tak, Jhuk Ne De


Ahamkar Vikar, Bhare Man Ko
Nij Naam Ki Mala, Jap Ne De
Ye Garv Bhara...

Mai Man Ke Mail Ko, Dho Na Saka
Ye Jeevan Tera, Ho Na Saka
Aa Ho Na Saka,
Mai Premi Houn, Itna Na Jhuka
Girbhi Jo Padoun Tho, Utne De
Ye Garv Bhara...

Main Gyaan Ki Baton Me, Khoya
Aur Karm Hin Padkar Soya
Jab Ankh Khuli, To Man Roya
Jab Soye Mujh Ko, Jagne De
Ye Garv Bhara...

Jaisa Hoon Mai, Khota Ya Khara,
Nirdosh Sharan Me, Aa Tho Gaya
Aa, Aa Tho Gaya
Ik Bar Ye, Kehade Khali Ja
Ye Preet Ki Reet, Jhalak Ne De
Ye Garv Bhara...

*******************************************************************

छोटी छोटी गैयाँ, छोटे छोटे ग्वाल ~~~
छोटो सो मेरो मदन गोपाल~~~

छोटी छोटी गैयाँ, छोटे छोटे ग्वाल~~~
छोटो सो मेरो मदन गोपाल~~~

आगे आगे गैयाँ पीछे पीछे ग्वाल~~
बीच मैं है मेरो मदन गोपाल......
छोटी छोटी गैयाँ~~~

घास खाए गैयाँ, दूध पीये ग्वाल~~
माखन मिसरी खाए मेरो मदन गोपाल...
छोटी छोटी गैयाँ~~~

काली काली गैयाँ, गोरे गोरे ग्वाल~~
श्याम वरन मेरो मदन गोपाल....
छोटी छोटी गैयाँ~~~

छोटी छोटी लाखुटी छोटे छोटे हाथ~~
बंसी बजावे मेरो मदन गोपाल....
छोटी छोटी गैयाँ ~~~

छोटी छोटी सखियाँ मधुबन बाल~~
रास रचावे मेरो मदन गोपाल.....
छोटी छोटी गैयाँ~~~
**********************************************************************
Sai Kasht Nivaaran Mantra/Stuti

Shri Sadguru Sainath Maharaj Ki Jai

Kashto Ki Kaali Chhaya Dukh Daayi Hai,
Jeevan Mein Ghor Udhaasi Laayi Hai,
Sankat Ko Taalo Sai Duhaai Hai,
Tere Siva Naa Koi Sahaayi Hai,

Mere Man Teri Murat Samaayi Hai,
Har Pal Har Kshan Mahima Gaayi Hai,
Ghar Mere Kashto Ki Aandhi Aayi Hai,
Aapne Kyu Meri Sudh Bhulayi Hai,

Tum Bhole Nath Ho Daya Nidhan Ho,
Tum Hanuman Ho Maha Balwan Ho,
Tumhi Ho Ram Aur Tumhi Shyam Ho,
Sare Jagat Mein Tum Sabse Mahan Ho,

Tumhi Mahakali, Tumhi Ma Sharde,
Karta Hu Prarthana Bhave Se Tar De,
Tumhi Mohammad Ho, Garib Navaz Ho,
Nanak Ki Vani Mein, Isa Ke Saath Ho,

Tumhi Digambar, Tumhi Kabir Ho,
Ho Budha Tumhi Aur Mahaavir Ho,
Sare Jagat Ka Tumhi Adhar Ho,
Nirakar Bhi Aur Sakar Ho,

Karta Hu Vandana Prem Vishwas Se,
Suno Sai Allah Ke Vaaste,
Adhro Mein Mere Nahi Muskaan Hai,
Ghar Mera Banane Laga Smashan Hai,

Rahem Nazar Karo Ujhade Viran Pe,
Jindagi Savregi Ek Vardan Se,
Paapo Ki Dhop Se Tan Laga Harne,
Aapka Ye Das Laga Pukarne,

Aapne Sada Hi Laaj Bachae Hai,
Der Naa Ho Jaye Man Shankaye Hai,
Dhire Dhire Dhiraj Hi Khotaa Hai,
Man Mein Basa Vishwas Hi Rota Hai,

Meri Kalpana Sakar Kar Do,
Suni Jindagi Mein Rang Bhar Do,
Dhote-Dhote Paapo Ka Bhar Jindagi Se,
Main Har Gaya Jindagi Se,

Nath Avgun Ab To Bisaro,
Kashto Ki Leher Se Aake Ubaro,
Karta Hu Paap Main Papo Ki Khan Hu,
Gyani Tum Gyneshwar, Main Agyan Hu,

Karta Hu Pag-Pag Par Paapo Ki Bhool Main,
Tar Do Jeevan Ye Charon Ki Dhul Se,
Tumne Ujada Hua Ghar Basaya,
Pani Se Deepak Bhi Tumne Jalaya,

Tumne Hi Shirdi Ko Dham Banaya,
Chhote Gaon Mein Swarg Sajaya,
Kasht Paap Shraap Utaaro,
Prem Daya Drishti Se Niharo,

Aap Ka Das Hu Aise Na Taliye,
Girne Laga Hu Sai Sambhaliye,
Saiji Baalak Main Anath Hu,
Tere Bharose Rehta Din Raat Hu,

Jaisa Bhi Hu, Hu To Aapka,
Kije Nivaran Mere Santaap Ka,
Tu Hai Savera Aur Main Raat Hu,
Mel Nahi Koi Phir Bhi Saath Hu,

Sai Mujse Mukh Na Modo,
Bich Majdhar Akela Na Chhodo,
Aapke Charno Mein Base Pran Jai,
Tere Vachan Mere Gurusaman Hai,

Aapki Raho Pe Chalta Das Hai,
Khushi Nahi Koi Jeevan Udas Hai,
Aansu Ki Dhara Hai Dubata Kinara,
Jindagi Mein Dard, Nahi Gujara,

Lagaya Chaman To Phool Khilao,
Phool Khile Hain To Khushbu Bhi Lao,
Kar Do Ishara To Baat Ban Jaaye,
Jo Kismat Mein Nahi Wo Bhi Mil Jaye,

Bita Zamana Ye Gake Fasana,
Sarhade Jindagi Mout Kaa Tarana,
Der Ho Gayi Hai Andhere Na Ho,
Fikr Mile Lekin Fareb Na Ho,

Deke Talo Yaa Daman Bacha Lo,
Hilne Lagi Rahunaye Sambhalo,
Tere Dam Pe Allah Ki Shaan Hai,
Sufi Santo Ke Ye Bayan Hai,

Garib Ki Joli Mein Bhar Do Khazana,
Zamane Ke Wali Karo Na Bahana,
Dar Ke Bhikhari Hain Mohtaj Hai Hum,
Shahanshahe Aalam Karo Kuch Karam,

Tere Khazane Mein Allah Ki Rehmat,
Tum Sadguru Ho Samarth,
Aaye Ho Dharti Pe Dene Sahara,
Karne Lage Kyun Hum Se Kinara,

Jab Tak Ye Brahmand Rahega,
Sai Tera Naam Rahega,
Chand Tare Tumhe Pukarenge,
Janmojanam Hum Rasta Niharenge,

Atma Badlegi Chole Hazar,
Hum Milte Rahenge Har Bar,
Aapke Kadamo Mein Baithe Rahenge,
Dukhde Dil Ke Kehte Rahenge,

Aapki Marzi Hai Do Yaa Naa Do,
Hum To Kahenge Daman Bhi Bhar Do,
Tum Ho Data Hum Hai Bhikhari,
Sunate Nahi Kyun Araj Hamari,

Achha Chalo Ek Baat Bata Do,
Kya Nahin Tumhare Pas Bata Do,
Jo Nahin Dena Hai Inkar Kar Do,
Khatm Ye Aapas Ki Takrar Kar Do,

Laut Ke Khali Chala Jaunga,
Phir Bhi Gun Tere Gaunga,
Jabtak Kaya Hai Tabtak Maya Hain,
Isi Mein Dukhon Ka Mul Samaya Hain,

Sab Kuch Jaan Ke Anjan Hu Main,
Allah Ki Tu Shan Teri Hu Shan Main,
Tera Karam Sada Sabpe Rahega,
Ye Chakra Yug-Yug Chalta Rahega,

Jo Prani Gayega Sai Tero Naam,
Usko Mile Mukti Pohchhe Param Dham,
Ye Mantra Jo Prani Nit Gayenge,
Rahu, Ketu, Shani Nikat Na Aayenge,

Tal Jayenge Sankat Sare,
Ghar Mein Das Vas Kare Sukh Saare,
Jo Shraddha Se Karega Pathan,
Us Par Dev Sabhi Ho Prasann, Rog Samuhh Nasht Ho Jayenge,

Kasht Nivaran Mantra Jo Gayenge, Pal Mein Dur Ho Sab Paap,
Jo Ye Pustak Nit Din Vaache, Laxmiji Ghar Uske Sada Biraje,
Gyaan Buddhi Prani Vo Payega,Kasht Nivaran Mein Jo Dhyayega,

Ye Mantra Bhakto Kamal Karega, Aaye Jo Anhoni To Taal Dega,
Bhoot-Pret Bhi Rahenge Door, Is Mantra Mein Sai Sakti Bharpur,
Japte Rahe Jo Mantra Agar, Jadu Tona Bhi Ho Beasar,
Is Mantra Mein Sab Gun Samaye, Naa Ho Bharosa To Aajmaye,

Ye Mantra Sai Vachan Hi Jano, Swayam Amal Kar Satya Pahchhano,
Sanshay Naa Lana Vishwas Jagana, Ye Mantra Sukho Ka Hai Khazana,
Is Pustak Mein Sai Ka Vaas, Sai Daya Se Hi Likh Paya Daas

Anant Koti Brahmand Nayak Raja Dhi Raj Yogi Raj Para Brahma Shri Sachidanand Sadguru Sai Nath Maharaj Ki Jai!!!
**************************************************************************